Maa Taare Zameen Par – Lyrics | Shankar Mahadevan

Maa Taare Zameen Par – Lyrics | Shankar Mahadevan

Song – Maa
Film – Taare Zameen Par
Singer – Shankar Mahadevan
Lyricist – Prasoon Joshi
Music Director – Shankar Mahadevan, Ehsaan Noorani, Loy Mendonca
Artist – Aamir Khan, Darsheel Safary, Tisca Chopra, Vipin Sharma
Music On – T-Series

 

Maa Taare Zameen Par – Lyrics

Main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main maa
Yun to main dikhlata nahin
Teri parwaah karta hoon main maa
Tujhe sab hain pata hain na maa
Tujhe sab hain pata …meri maa

Bheed mein yun na chodo mujhe
Ghar laut ke bhi aa naa paoon maa
Bhej na itna door mujkko tu
Yaad bhi tujhko aa naa paoon maa
Kya itna bura hoon main maa
Kya itna bura…. meri maa

Jab bhi kabhi papa mujhe
Jo zor se jhoola jhulate hain maa
Meri nazar dhoondhe tujhe
Sochu yahi tu aa ke thaamegi maa

Unse main yeh kehta nahin
Par main seham jaata hoon maa
Chehre pe aana deta nahin
Dil hi dil mein ghabraata hoon maa
Tujhe sab hai pata hai naa maa
Tujhe sab hai pata meri maa

O..main kabhi batlata nahin
Par andhere se darta hoon main maa
Yun to main, dikhlata nahin
Teri parwaah karta hoon main maa
Tujhe sab hain pata hain na maa
Tujhe sab hain pata….meri maa

 

Suggested Songs

Luka Chuppi Bahut Hui – Lyrics | Lata Mangeshkar – AR Rahman

Kya Hua Tera Wada – Lyrics | Hum Kisise Kum Nahi

Dil Ke Jharokhe Mein Lyrics | Mohammed Rafi – Shammi Kapoor

Mere Sapno Ki Rani Lyrics | Rajesh Khanna – Sharmila Tagore

Jubin Nautiyal – Raataan Lambiyan – Lyrics | Tanishk Bagchi

 

You may also like...

Leave a Reply

Your email address will not be published. Required fields are marked *